Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_83a147ee804540fb07de9e57a9b4ed39, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Aaina Tha Magar Gham Ki Rahguzar Mein Tha - Arsh Sahbai Poetry In English - Darsaal

Ye Aaina Tha Magar Gham Ki Rahguzar Mein Tha

ye aaina tha magar gham ki rahguzar mein tha

aTa hua mera dil dard ke ghubar mein tha

qadam qadam pe kai rang ke the hangame

ajib lutf sitam-ha-e-rozgar mein tha

na kar saka main faramosh us ki koi baat

mera KHayal ki ye mere iKHtiyar mein tha

junun ke dasht mein paiham bhaTak raha tha dil

magar ye zehn haqaeq ke kar-zar mein tha

gira jo palkon se ek ashk kah gaya sab kuchh

kahan fasane mein jo lutf iKHtisar mein tha

khule hue the kai maslahat ke darwaze

magar ye dil tha ki Duba hua waqar mein tha

kise pukarte hum rah-e-zindagi mein 'arsh'

har ek shaKHs KHud apne hi intizar mein tha

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aaina Tha Magar Gham Ki Rahguzar Mein Tha In English By Famous Poet Arsh Sahbai. Ye Aaina Tha Magar Gham Ki Rahguzar Mein Tha is written by Arsh Sahbai. Read famous Poem Ye Aaina Tha Magar Gham Ki Rahguzar Mein Tha for youth and Student by Arsh Sahbai. Free Download Ye Aaina Tha Magar Gham Ki Rahguzar Mein Tha in PDF.