Main Hun Aise Bikhra Sa
main hun aise bikhra sa
jaise KHwab adhura sa
dur dur tak phaila hai
yaadon ka ek sahra sa
be-shak aap nahin aate
kar dete koi wada sa
gham se aankhen bojhal hain
dil bhi hai kuchh bikhra sa
main us ki nazron mein hun
kaghaz ka ek TukDa sa
aql-o-junun mein rahta hai
koi na koi jhagDa sa
un se dil ki baat kahi
bojh hua kuchh halka sa
uDi uDi si rangat hai
har koi hai sahma sa
us ko haq hai jo bhi kare
wo hai mera apna sa
mera yahi asasa hai
ek dil wo bhi TuTa sa
aap to chup se rahte hain
main hota hun ruswa sa
'arsh' nigahon mein aksar
lahrae ek saya sa
(829) Peoples Rate This