Dil-e-muztar Se Nalan Hain Udhar Wo Bhi Idhar Hum Bhi
dil-e-muztar se nalan hain udhar wo bhi idhar hum bhi
mohabbat mein pareshan hain udhar wo bhi idhar hum bhi
kise fursat hai mazi ki purani dastan chheDe
gham-e-hazir mein ghaltan hain udhar wo bhi idhar hum bhi
ba-zahir koi hairani nahin tark-e-mohabbat par
magar dil mein pasheman hain udhar wo bhi idhar hum bhi
KHizan ke jaur-e-paiham ki shikayat hai to donon ko
talabgar-e-bahaaran hain udhar wo bhi idhar hum bhi
unhen jaane ki jaldi hai hamein zid hai ki ruk jaen
gharaz donon pareshan hain udhar wo bhi idhar hum bhi
(847) Peoples Rate This