Agar Taqdir Teri Bais-e-azar Ho Jae
agar taqdir teri bais-e-azar ho jae
tujhe lazim hai us se bar-sar-e-paikar ho jae
meri kashti hai main hun aur girdab-e-mohabbat hai
jo tu ho na-KHuda mera to beDa par ho jae
kamal-e-zabt-e-gham se ye gawara hi nahin mujh ko
ki harf-e-arzu sharminda-e-izhaar ho jae
tere KHwab-e-giran par ai dil-e-nadan tajjub hai
ki tu sota rahe sara jahan bedar ho jae
unhen kyun kosta hai jo tujhe kahte hain kam-himmat
bura kya hai haqiqat ka agar izhaar ho jae
tumhein ai arsh kyun hai tir-e-gham se itni be-zari
yahi behtar hai ye nawak jigar ke par ho jae
(858) Peoples Rate This