Hina-rang Hathon Mein
to kya
zindagi ne tumhein wo sabhi kuchh diya
jis ki tum aarzu-mand thin
ki meri tarah
tamanna ke kashkol KHali rahe
aur baKHshish ka lamha
tumhein aur nadar kar ke guzar bhi gaya
mujhe ye bataya gaya hai
tumhaari umidon ki shadab faslon pe
jab sang-bari hui
to TuTe hue KHwab ki kirchiyan
apne ehsas ki sari viraniyon mein chhupa kar bhi
tum ne ye zahir kiya
jaise tumhaare qadam zamin par nahin paD rahe hon
jaise tum aasmanon mein parwaz karti rahi ho
garche aati jati hui ek ek sans mein
koi aawaz tum se ye kahti rahi
hina-rang hathon mein jhuTe nagine
tumhaari kaDi sadhna ka sila to nahin
jis ke qadmon mein tum
apne sajdon ke moti luTati ho
wo
tumhaari parastish ke laeq KHuda to nahin
to ab tum pe zahir hua!
KHwab tabir ke rang mein jagmagate nahin
sarabon ki surat mein aadarsh
jo hath aate nahin
main to ye chahta tha
ki har moD par
tum ko la-hasili ke pareshan-kun tajrabe
se bacha kar rakhun
magar meri kamzor chahat
tumhein ibtida-e-safar mein
shikaston se do-chaar hote hue
dekhti rah gai
aur kuchh kar na pai
ab?
kisi samt bhi jao
kanTon bhari rah se hi guzarna paDega
apne aadarsh ki rifaton se
utarne ki KHatir
ruh par jabr karna paDega
aur agar tum ne
jhuTi masarrat ka rangin labaada pahan bhi liya
to apne pindar ka samna kis tarah kar sakogi?
(951) Peoples Rate This