Taj-e-zarrin Na Koi Masnad-e-shahi Mangun

taj-e-zarrin na koi masnad-e-shahi mangun

main to bas apne hi hone ki gawahi mangun

mujh ko suqraat ka mansab nahin hasil karna

kya main sach bol ke apni hi tabahi mangun

haar jaunga to miTTi ke qadam chumunga

girti diwar se kya pusht-panahi mangun

zeb deta hai mere tan pe faqiri ka libas

kisi darbar se kya KHilat-e-jahi mangun

meri wahshat ko ye sahra ki masafat kam hai

sair ke waste kuchh aur faza hi mangun

tirgi mein abhi itna to nahin Duba hun

ki nae din ke KHazane se bhi syahi mangun

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taj-e-zarrin Na Koi Masnad-e-shahi Mangun In English By Famous Poet Arman Najmi. Taj-e-zarrin Na Koi Masnad-e-shahi Mangun is written by Arman Najmi. Read famous Poem Taj-e-zarrin Na Koi Masnad-e-shahi Mangun for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Taj-e-zarrin Na Koi Masnad-e-shahi Mangun in PDF.