Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e4e09f1e67ab414a5ddb34069a9636b1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tah-e-aflak Hi Sab Kuchh Nahin Hai - Arman Najmi Poetry In English - Darsaal

Tah-e-aflak Hi Sab Kuchh Nahin Hai

tah-e-aflak hi sab kuchh nahin hai

zamin ki KHak hi sab kuchh nahin hai

kai sachchaiyan hain mawara bhi

had-e-idrak hi sab kuchh nahin hai

dil-o-jaan ki bhi nisbat hai junun se

qaba-e-chaak hi sab kuchh nahin hai

ye gul buTe bahut dilkash hain lekin

sar-e-poshak hi sab kuchh nahin hai

abhi hai ibtida mashq-e-sitam ki

lab-e-saffak hi sab kuchh nahin hai

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tah-e-aflak Hi Sab Kuchh Nahin Hai In English By Famous Poet Arman Najmi. Tah-e-aflak Hi Sab Kuchh Nahin Hai is written by Arman Najmi. Read famous Poem Tah-e-aflak Hi Sab Kuchh Nahin Hai for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Tah-e-aflak Hi Sab Kuchh Nahin Hai in PDF.