Nigah-e-tishna Se Hairat Ka Bab Dekhte Hain
nigah-e-tishna se hairat ka bab dekhte hain
bisat-e-ab pe raqs-e-sarab dekhte hain
ukhaDte KHemon pe kya qahr-e-sham TuTa hai
lahu mein Duba hua aaftab dekhte hain
nahin hai qatre ki auqat bhi jinhen hasil
wo kam-nazar bhi samundar ke KHwab dekhte hain
unhen to waqt ki gardish asir kar bhi chuki
wo ab guzishta zamane ka KHwab dekhte hain
hamein to mauj-e-rawan bhi nazar nahin aati
wo log aur hain jo zer-e-ab dekhte hain
dayar-e-shauq ki miTTi mein kya guhar hi nahin
numu ki rut ko bhi be-ab-o-tab dekhte hain
saza milegi hamein to ziya-ba-doshi ki
charagh-e-jaan pe hawa ka itab dekhte hain
mila nahin unhen sairabi-e-wujud ka lams
ye dasht sadiyon se rah-e-sahab dekhte hain
(818) Peoples Rate This