Nazar Ke Samne Sahra-e-be-panahi Hai
nazar ke samne sahra-e-be-panahi hai
qarib o dur mere baKHt ki siyahi hai
ufuq ke par kabhi dekhne nahin deti
sharik rah umidon ki kam-nigahi hai
bhara paDa tha ghar is ka KHushi ke sile se
ye kya hua ki wo ab raste ka rahi hai
wo zehan ho to harifon ki chaal bhi sikhen
hamare pas faqat uzr-e-be-gunahi hai
ukhaDte qadmon ki aawaz mujh se kahti hai
shikast hi nahin ye daimi tabahi hai
adad kamin mein hai aage ye kya pata us ko
rah-e-farar mein haara hua sipahi hai
(750) Peoples Rate This