Na Harf-e-shauq Na Tarz-e-bayan Se Aati Hai
na harf-e-shauq na tarz-e-bayan se aati hai
supurdagi ki sada jism-o-jaan se aati hai
koi sitara rag-o-pai mein hai samaya hua
mujhe KHud apni KHabar aasman se aati hai
kisi dukan se milti nahin hai garmi-e-shauq
ye aanch wo hai jo soz-e-nihan se aati hai
khula nahin hai wo mujh par kisi bhi pahlu se
nahin ki gunj abhi us ki han se aati hai
ajib shai hai nashat-e-yaqin ki daulat bhi
kisi wajud ke wahm-o-guman se aati hai
parinde sham Dhale rah mein nahin rukte
koi nawed unhen aashiyan se aati hai
miThas gholta hai kaun mere lahje mein
mere suKHan mein halawat kahan se aati hai
gurez bhi kahin izhaar-e-arzu hi na ho
kashish ye kaisi badan ki kaman se aati hai
kisi hijab ki bandish ko manti hi nahin
jo mauj ruh ki ju-e-rawan se aati hai
(802) Peoples Rate This