Main Likh Kar Ho Sakunga SurKH-ru Kya

main likh kar ho sakunga surKH-ru kya

qalam kya aur qalam ki aabru kya

na socha kaTne wale ne itna

hari Dali ki thi kuchh aarzu kya

zara jage to hum sina-sipar hon

ana ko jo sula de wo lahu kya

zamin ko aab-o-dana de ke dekho

khila deti hai gulzar-e-numu kya

adu ko zer kar lo faslon se

laDai ab hai lazim du-ba-du kya

(764) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Main Likh Kar Ho Sakunga SurKH-ru Kya In English By Famous Poet Arman Najmi. Main Likh Kar Ho Sakunga SurKH-ru Kya is written by Arman Najmi. Read famous Poem Main Likh Kar Ho Sakunga SurKH-ru Kya for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Main Likh Kar Ho Sakunga SurKH-ru Kya in PDF.