Kabhi To Aa Ke Milo Mera Haal To Puchho
kabhi to aa ke milo mera haal to puchho
ki mujh se chhuT ke bhi aaj kaise zinda ho
jawaniyon ki ye rut kis tarah guzarti hai
bas ek bar tum apni nazar se dekh to lo
wo aarzuon ka mausam to kab ka bit chuka
main kab se jhel raha hun dukhon ke sahra ko
masarraton ki ruten to tumhaare sath gain
main kaise dur karun ruh ki udasi ko
guzar na jao sar-e-rah ajnabi ki tarah
tumhaara KHwab hun main tum to mujh ko pahchano
jo ja chuke wo musafir na aaenge arman
bas ab to dafn karo nim-jaan umidon ko
(1094) Peoples Rate This