Jaane Kis Aalam-e-ehsas Mein Khoe Hue Hain
jaane kis aalam-e-ehsas mein khoe hue hain
hum hain wo log ki jage hain na soe hue hain
apne anjam ka dekhega tamasha kabhi wo
jite-ji hum to abhi se use roe hue hain
dagh miTta nahin kuchh aur numayan hua hai
apne hath aap ne kis chiz se dhoe hue hain
kuchh samajh mein nahin aata ye mukafat-e-amal
kaTte kyun nahin jo aap ne boe hue hain
ruh apni rahi hai qurb-e-badan se sarshaar
hum farishte nahin daman ko bhigoe hue hain
sans lene ko bhi ab in ki taraf dekhta hun
nok-e-nashtar jo rag-e-jaan mein chubhoe hue hain
kya mila un se hamein KHak nadamat ke siwa
hum bhi kin KHwabon ki tabir ko Dhoe hue hain
itne nadan bhi nahin hum ki samajh bhi na saken
aap lahje mein jo shirini samoe hue hain
(927) Peoples Rate This