Guzarte Din Ke Dukhon Ka Pata To Deta Tha
guzarte din ke dukhon ka pata to deta tha
wo sham Dhalne se pahle sada to deta tha
hujum-e-kar mein pal bhar bhi ek bahane se
wo apne qurb ka jadu jaga to deta tha
sharik-e-rah tha wo ham-safar na tha phir bhi
qadam qadam pe mujhe hausla to deta tha
mujhi ko milti na thi fursat-e-pazirai
wo apne sach ka mujhe aaina to deta tha
wo chand aur kisi aasman ka tha lekin
ufuq ufuq ko mere jagmaga to deta tha
main us ki aanch mein tap kar na ho saka kundan
wo apne shola-e-jaan ki hawa to deta tha
(850) Peoples Rate This