Girte Ubharte Dubte Dhaare Se KaT Gaya
girte ubharte Dubte dhaare se kaT gaya
dariya simaT ke apne kinare se kaT gaya
mausam ke sard-o-garm ishaare se kaT gaya
zaKHmi wajud waqt ke dhaare se kaT gaya
kya farq us ko jaD se ukhaDa gaya jise
TukDe kiya tabar ne ki aare se kaT gaya
tanhai ham-kanar hai sahra ki raat-bhar
kaise main apne chand sitare se kaT gaya
chalta hai apne panw pe ab aan-ban se
achchha hua wo jhuTe sahaare se kaT gaya
diwaren unchi hoti gain aas-pas ki
ghar mera pesh-o-pas ke nazare se kaT gaya
nikla tha ek qadam hi had-e-ehtiyat se
shoalon se bachne wala sharare se kaT gaya
aata nahin yaqin ki nazar us ne pher li
kaise wo apne dard ke mare se kaT gaya
(805) Peoples Rate This