Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh

ek be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh

wo dur ja chuka hai hawa ki taraf na dekh

aabaad kar le dida-o-dil mein sanam-kade

kahta hai wo ki ek KHuda ki taraf na dekh

apni hi aafiyat ki tag-o-dau mein mahw rah

is sar-zamin-e-ah-o-buka ki taraf na dekh

apne ufuq ki tang faza se hi kaam rakh

maidan-e-hashr dasht-e-bala ki taraf na dekh

kar le na apne shahr-e-tilismat ka asir

us ki nigah-e-hosh-ruba ki taraf na dekh

rakh KHak-e-dil pe apne qadam ehtiyat se

mauj-e-hawa-e-samt-numa ki taraf na dekh

(1046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh In English By Famous Poet Arman Najmi. Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh is written by Arman Najmi. Read famous Poem Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh in PDF.