Dimagh-o-dil Pe Ho Kya Asar Andhere Ka
dimagh-o-dil pe ho kya asar andhere ka
ki dida-war bhi hai ab ham-safar andhere ka
dayar-e-nur mein har samt KHak uDne lagi
wajud hone laga mo'atabar andhere ka
ye rasta to charaghon se jagmagata hai
idhar se hone laga kyun guzar andhere ka
ab is ke phulne-phalne mein din hi kitne hain
jaDen jama to chuka hai shajar andhere ka
yahan to raushniyon ka paDaw hota hai
to kya yahin pe basega nagar andhere ka
sisakti shamon ka ye aaKHiri Thikana hai
shurua hoga yahin se safar andhere ka
basiraton ke amin hain hamin magar hum ne
basa liya hai rag-o-pai mein Dar andhere ka
manao KHair ujalon ke baam-o-dar walo
faza mein raqs-kunan hai sharar andhere ka
wo apne sath to le kar charagh chalte the
shikar kyun hue ahl-e-nazar andhere ka
(808) Peoples Rate This