Bujhi Nahin Abhi Ye Pyas Bhi Ghanimat Hai

bujhi nahin abhi ye pyas bhi ghanimat hai

zaban pe kanTon ka ehsas bhi ghanimat hai

rawan hai sans ki kashti isi ke dhaare par

ye ek TuTi hui aas bhi ghanimat hai

nishan numu ke hain kuchh to bisat-e-sahra par

jhulasti jalti hui ghas bhi ghanimat hai

phir is ke baad tumhaari shanaKHt kya hogi

riwayaton ki ye bu-bas bhi ghanimat hai

wo ab bhi milta hai apni ada-e-KHas ke sath

ki waza-dari ka ye pas bhi ghanimat hai

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujhi Nahin Abhi Ye Pyas Bhi Ghanimat Hai In English By Famous Poet Arman Najmi. Bujhi Nahin Abhi Ye Pyas Bhi Ghanimat Hai is written by Arman Najmi. Read famous Poem Bujhi Nahin Abhi Ye Pyas Bhi Ghanimat Hai for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Bujhi Nahin Abhi Ye Pyas Bhi Ghanimat Hai in PDF.