Ba-zahir Ye Wahi Milne BichhaDne Ki Hikayat Hai

ba-zahir ye wahi milne bichhaDne ki hikayat hai

yahan lekin gharon ke bhi ujaDne ki hikayat hai

sipah-salar kuchh likhta hai taswir-e-hazimat mein

magar ye to adu ke panw paDne ki hikayat hai

kaniz-e-be-nawa ne ek shahzade ko chaha kyun

mohabbat zinda diwaron mein gaDne ki hikayat hai

khuli aankhen to kandhon par kitabon se bhara basta

laDakpan ab kahan titli pakaDne ki hikayat hai

kai sadiyan ganwa din hum ne kam-koshi ki rahat mein

bahut hi dukh bhari apne bichhaDne ki hikayat hai

parai KHak ne un par kahin banhen na phailain

ye hijrat ka safar jaD se ukhaDne ki hikayat hai

qadam kab tak jame rahte mere sailab ki zad mein

meri be-chaargi tinke pakaDne ki hikayat hai

(916) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-zahir Ye Wahi Milne BichhaDne Ki Hikayat Hai In English By Famous Poet Arman Najmi. Ba-zahir Ye Wahi Milne BichhaDne Ki Hikayat Hai is written by Arman Najmi. Read famous Poem Ba-zahir Ye Wahi Milne BichhaDne Ki Hikayat Hai for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Ba-zahir Ye Wahi Milne BichhaDne Ki Hikayat Hai in PDF.