Apni Sachchai Ka Aazar Jo Pale Hue Hain

apni sachchai ka aazar jo pale hue hain

KHud ko hum gardish-e-afat mein Dale hue hain

band muTThi mein jo KHushbu ko sambhaale hue hain

ye samajhte hain ki tufan ko Tale hue hain

hain to aabaad magar dar-badari ki zad par

wo bhi meri hi tarah ghar se nikale hue hain

apni raftar se aage bhi nikal sakta hun

mujh pe kab hawi mere panw ke chhaale hue hain

ab kisi bab-e-samaat pe na dastak denge

dafn sahra ki fazaon mein jo nale hue hain

surKH-ru jo hai wo mera koi ham-zad hai kya

nok-e-neza pe wo sar kis ka uchhaale hue hain

un ke shane hain har ek bar-e-garan se KHali

ab wo dastar nahin sar ko sambhaale hue hain

waza ka pas bhi rakhne ke rahe ahl kahan

KHud ko hum aur kisi sanche mein Dhaale hue hain

us ki KHushbu se tilismat ka dar khulne laga

dida-o-dil qad-o-gesu ke hawale hue hain

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Sachchai Ka Aazar Jo Pale Hue Hain In English By Famous Poet Arman Najmi. Apni Sachchai Ka Aazar Jo Pale Hue Hain is written by Arman Najmi. Read famous Poem Apni Sachchai Ka Aazar Jo Pale Hue Hain for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Apni Sachchai Ka Aazar Jo Pale Hue Hain in PDF.