Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre
ye shahr hai wo shahr ki jis mein hain be-wajh kaamyab chehre
yahan siyasat ki aandhiyon ne miTa diye mahtab chehre
fareb khana na gham uThana na un ke sae mein munh chhupana
hazar kanTe chhupae baiThe hain shoKH rangin gulab chehre
koi bhi hamdam nahin hai sachcha koi bhi sathi nahin hai muKHlis
jinhen tum apna samajh rahe ho wahi hain KHana-KHarab chehre
koi bhi aaina-ru nahin jo sadaqaton ki shabih dikhae
KHushamadon ki naqab ne sab chhupa diye be-naqab chehre
koi naya dard saunp denge koi naya zaKHm Dal denge
kiran kiran hain zahr mein Dube hain zahiran aaftab chehre
jo paDh sako to KHulus paDh lo meri nigahon ki sadgi mein
jahan mein 'afshan' se log kam hain hon jin ke sachchi kitab chehre
(769) Peoples Rate This