Suraj Uga To Zindagi Ki Sham Ho Gai
suraj uga to zindagi ki sham ho gai
ab subh-e-nau bhi maut ka paigham ho gai
dil mein sama gain wo zamane ki nafraten
mehr-o-wafa bhi aaKHirash badnam ho gai
insan sare masjid-o-mandir mein baT gae
insaniyat is daur mein nakaam ho gai
zaitun ki jo shaKH uThae tha hath mein
gardan qalam usi ki sar-e-am ho gai
'afshan' kahan se laen wo aslaf ka KHulus
tariKH ki kitab hi nilam ho gai
(715) Peoples Rate This