Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6cd7606bc7905ff7a64085dc5c89a2ae, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Jo KHatm Na Ho Aisi Tazgi De Di - Arjumand Bano Afshan Poetry In English - Darsaal

Kabhi Jo KHatm Na Ho Aisi Tazgi De Di

kabhi jo KHatm na ho aisi tazgi de di

teri wafa ne nai mujh ko zindagi de di

hamare pas tha kya aur mata-e-dil ke siwa

tere sawal pe wo bhi KHushi KHushi de di

wo shaKHs kaun tha jis ke KHulus-e-paiham ne

meri hayat ko suraj si raushni de di

ajib baat hai jis ne hayat mangi thi

use to maut mili mujh ko zindagi de di

main apne daur se kis darja sharmsar rahe

ghazab kiya mujhe irfan-o-agahi de di

taDap taDap ke jiye jis ke pyar mein 'afshan'

usi ki yaad mein lo aaj jaan bhi de di

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Jo KHatm Na Ho Aisi Tazgi De Di In English By Famous Poet Arjumand Bano Afshan. Kabhi Jo KHatm Na Ho Aisi Tazgi De Di is written by Arjumand Bano Afshan. Read famous Poem Kabhi Jo KHatm Na Ho Aisi Tazgi De Di for youth and Student by Arjumand Bano Afshan. Free Download Kabhi Jo KHatm Na Ho Aisi Tazgi De Di in PDF.