Jab Sitaron Ki Rida Kandhe Se Sarkati Hai Raat
jab sitaron ki rida kandhe se sarkati hai raat
chand ke sine se lag kar nur ban jati hai raat
KHud taDap kar kis qadar mujh ko bhi taDpati hai raat
ashk-e-shabnam jab meri haalat pe barsati hai raat
KHun-e-dil de kar ufuq rangin kar jati hai raat
raushni hone se pahle qatl ho jati hai raat
subh-e-nau se kis liye is darja ghabraati hai raat
dekh kar KHurshid ko jaane kidhar jati hai raat
tirgi-e-hijr ko had se baDha jati hai raat
aap ke aane se pahle kyun chali aati hai raat
main nazar ban jaun to taswir ban jati hai raat
un ki yaadon ke diye ki lau baDha jati hai raat
din guzar jata hai 'afshan' mahfil-e-ahbab mein
qasr-e-tanhai mein chupke se chali aati hai raat
(724) Peoples Rate This