Badli Hui Duniya Ki Nazar Dekh Rahe Hain
badli hui duniya ki nazar dekh rahe hain
phalta hua nafrat ka shajar dekh rahe hain
basti ke sulagte hue ghar dekh rahe hain
dil-doz manazir hain magar dekh rahe hain
wo kar bhi chuke ghair se iqrar-e-mohabbat
hum baiThe duaon mein asar dekh rahe hain
hoti hai har ek phul se gulzar ki zinat
nadan hain jo nasl-e-shajar dekh rahe hain
ek rose na jal jae kahin un ka nasheman
jo dur khaDe raqs-e-sharar dekh rahe hain
manzil ki jinhen dhun thi unhen mil gai manzil
jo baiTh rahe gard-e-safar dekh rahe hain
'afshan' meri aankhon mein basi rahti hai har-dam
wo shakl jise ahl-e-nazar dekh rahe hain
(866) Peoples Rate This