Wo Kya Maslahat Thi
main aaghaz-e-hasti se hawwa ki surat
hun aadam ki KHwahish ka ek shaKHsana
zamin ko basane ka bas ek bahana!
main roz-e-abad nekiyon ka sila hun
na jaane main kya hun
gila KHaliq-e-kul se kaise karun main
usi ki raza hun
ye hai faKHr-e-adam
ki bas ibn-e-adam
amin-e-KHuda hai qarin-e-KHuda hai
meri hasti kya hai
faqat wasta hai!
ye taslim hai
har sahife mein
main aabida momina saliha thi
magar jab farishton ne aadam ko sajda kiya tha
to hawwa kahan thi
main ruhon ke iqrar ke waqt
jaane kahan kaun si saf mein thi
ya nahin thi?
agar thi to iqrar bhi to kiya tha
adam mein agar ruh KHud-muktafi thi
to phir KHaliq-e-kun-fakan ki wo kya maslahat thi
ki main dusri thi!!
(863) Peoples Rate This