Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e8369c3c7fed78a27aada2e07703997e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wahan Main Nahin Thi - Arifa Shahzad Poetry In English - Darsaal

Wahan Main Nahin Thi

faqat KHali pinjra badan ka paDa tha

aur nim-wa in kiwaDon ki har charcharahaT mein

hairaniyan bolti thin

zamin ki faza se

mujhe kis ne bahar Dhakela

falak tak meri dastaras kyun nahin thi

na jaane main kab tak KHala mein bhaTakti rahi thi

wahin par

munaqqash darichon mein

sarsabz belen sutunon se lipTi hui thin

chamakte hue chhat ke fanus ki raushni mein

belon ke patton ki aankhon mein Thahri nami

jhilmilane lagi thi!

magar sab ki nazren

saji Tabalon par jami thin

kisi ko KHabar kab hui thi

wahan mein nahin thi

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahan Main Nahin Thi In English By Famous Poet Arifa Shahzad. Wahan Main Nahin Thi is written by Arifa Shahzad. Read famous Poem Wahan Main Nahin Thi for youth and Student by Arifa Shahzad. Free Download Wahan Main Nahin Thi in PDF.