Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_76653d5e9bba6d6c2d108cb2bf83bd0c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tumhein Khojti Hain Jo Aankhen - Arifa Shahzad Poetry In English - Darsaal

Tumhein Khojti Hain Jo Aankhen

tumhein khojti hain jo aankhen

tum un mein kise dekhte ho?

koi gum-shuda muskurahaT

jo dil ke KHalaon ko bharne lagi hai

ya ek dhun ki jis par

ye Thahri hui munjamid zindagi, raqs karne lagi hai!

tumhaare bhi man mein parindon ki chahkar phir se utarne lagi hai?

koi bhuli-bisri si sargoshi

honTon pe khilne lagi hai?

kaho! zindagi phir se milne lagi hai?

sunahri wo aankhen jo lau de rahi hain

wo qindil-e-jaan hain?

ki bhedon-bhari raushni ka nishan hain?

kabhi taq-e-jaan par sambhaale the tum ne maani jo gum ho gae the

kaho! tum ne phir bhi unhen pa liya hai?

ki phir ek nai nazm ki KHwahishon ne tumhein ja liya hai?

ye kis ko pata hai?

na jaane tum aankhon mein un ki

kise DhunDte ho

(1148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhein Khojti Hain Jo Aankhen In English By Famous Poet Arifa Shahzad. Tumhein Khojti Hain Jo Aankhen is written by Arifa Shahzad. Read famous Poem Tumhein Khojti Hain Jo Aankhen for youth and Student by Arifa Shahzad. Free Download Tumhein Khojti Hain Jo Aankhen in PDF.