Talash
december ke dalan mein
is chamakti hui aaftabi tamazat ko ruh mein utare
kiran-dar-kiran tum kise dekhti ho
KHunuk si hawaon ki in sarsaraati hui ungliyon mein
jo ek lams mahsus karne lagi ho wo kya hai
koi wahima hai? haqiqat hai koi?
ki ek KHwab hai jo sar-e-rah aa kar mila hai
shab o roz masrufiyat mein ghiri ho
koi kaam bhi ho
use ek lamha nahin bhulti ho!
tumhein kya hua hai
saDak par rawan
apni gaDi mein baiThi
yahan aati jati hui gaDiyon mein
kise dekhti ho
kabhi samna ho
to aankhon mein us ki
kise DhunDhti ho?
(922) Peoples Rate This