Girhen Khulti Nahin
kaisi girhon mein tar-e-nafas hai ye uljha hua
sari peshaniyon par lakiron ka phaila hua jal hai
is mein jakDi gai
muskurahaT kahin
dhajjiyan chaar atraf uDne lagin
kis ka malbus hai
har nagar har gali
KHauf hi KHauf hai
agli bai hai kis ki
kisi ko pata tak nahin
munh chhupae hue
tane, dushnam sahte hain jo ajnabi
apne hi to nahin
chaar-su hai ragen kaTti zamhariri hua
sard-mehri ke barfab mausam mein
ThiThure hue honT hain
aur zaban ki ragen bhi tashannuj se khichne lagin
kaisa aaseb-e-wahshat hai
kyun sar se Talta nahin
aayaten bhi hamein bhul jaane lagin
jibrail-e-amin
suratunnas aur al-falaq paDh ke phunko
dilon mein
aqidon ki girhen paDi hain
ye hum se to khulti nahin!
(721) Peoples Rate This