Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e982636befdb3e834d4f4a5003caa297, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghar Se ChiKHen UTh Rahi Thin Aur Main Jaga Na Tha - Arif Shafiq Poetry In English - Darsaal

Ghar Se ChiKHen UTh Rahi Thin Aur Main Jaga Na Tha

ghar se chiKHen uTh rahi thin aur main jaga na tha

itni gahri nind to pahle kabhi soya na tha

nashsha-e-awargi jab kam hua to ye khula

koi bhi rasta mere ghar ki taraf jata na tha

kya gila ek dusre se bewafai ka karen

hum ne hi ek dusre ko Thik se samjha na tha

gul na the jis mein wo gulshan bhi tha jangal ki tarah

ghar wo qabristan tha jis mein koi bachcha na tha

aasman par tha KHuda tanha magar 'arif-shafiq'

is zamin par koi bhi meri tarah tanha na tha

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Se ChiKHen UTh Rahi Thin Aur Main Jaga Na Tha In English By Famous Poet Arif Shafiq. Ghar Se ChiKHen UTh Rahi Thin Aur Main Jaga Na Tha is written by Arif Shafiq. Read famous Poem Ghar Se ChiKHen UTh Rahi Thin Aur Main Jaga Na Tha for youth and Student by Arif Shafiq. Free Download Ghar Se ChiKHen UTh Rahi Thin Aur Main Jaga Na Tha in PDF.