DozaKH Bhi Kya Guman Hai Jannat Bhi Hai Fareb
dozaKH bhi kya guman hai jannat bhi hai fareb
in waswason mein meri ibaadat bhi hai fareb
dariya o dasht aur samundar bhi hain sarab
din ka ujala raat ki zulmat bhi hai fareb
tera har ek KHayal bhi ek KHushnuma guman
duniya hi kya KHud apni haqiqat bhi hai fareb
parchhain ke siwa to nahin hain hum aur kuchh
ye rang-o-nur aur ye nikhat bhi hai fareb
roz-e-azal ka lamha-e-maujud bhi hai aks
yani guzarte waqt ki saat bhi hai fareb
wahm-o-guman ke sae hain suraj bhi chand bhi
andhi hai soch aur basarat bhi hai fareb
hai ye nigar-KHana jo KHwab-o-KHayal sa
is aaine mein meri ye surat bhi hai fareb
'arif'-husain dhoka sahi apni zindagi
is zindagi ke baad ki haalat bhi hai fareb
(960) Peoples Rate This