Shaeri Mujhko Ajab Haal Mein Le Jati Hai
shaeri mujh ko ajab haal mein le jati hai
kabhi matam kabhi dhammal mein le jati hai
mein kisi chashm-e-nigah-dar ki had mein hun ki jo
mujh ko wapas mere ahwal mein le jati hai
meri KHwahish baDi tafsil-talab hai lekin
teri surat mujhe ijmal mein le jati hai
main bichhata hun musalla sar-e-mehrab-e-niyaz
phir ibaadat mujhe patal mein le jati hai
main to sunta hi nahin hun koi guftar-e-KHirad
ye kabhi qil kabhi qal mein le jati hai
ras aai na mujhe aaina-KHane ki chamak
ye meri shakl ko ashkal mein le jati hai
KHud-faramoshi ki ek lahr kahin se aa kar
ek do bar mujhe sal mein le jati hai
is liye sota nahin main ki nigar-e-duniya
KHema-e-KHwab se pinDal mein le jati hai
(890) Peoples Rate This