Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9a919df5e33e8ea881ebbe3c101eceff, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sab Lahu Jam Gaya Ubaal Ke Bich - Arif Imam Poetry In English - Darsaal

Sab Lahu Jam Gaya Ubaal Ke Bich

sab lahu jam gaya ubaal ke bich

kaun yaad aa gaya visal ke bich

ek waqfa hai zindagi-bhar ka

zaKHm ke aur indimal ke bich

aan baiTha hai ek andesha

guftugu aur arz-e-haal ke bich

tal deti hai jab kabhi wahshat

raqs karta hun main KHayal ke bich

kabhi matam miyan-e-raqs kiya

kabhi sajda kiya dhamal ke bich

ek parda hai be-sabaati ka

aaine aur tere jamal ke bich

ek baras ho gaya use dekhe

ek sadi aa gai hai sal ke bich

mere daman ko dhone wala hai

ek aansu jo hai rumal ke bech

(1014) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Lahu Jam Gaya Ubaal Ke Bich In English By Famous Poet Arif Imam. Sab Lahu Jam Gaya Ubaal Ke Bich is written by Arif Imam. Read famous Poem Sab Lahu Jam Gaya Ubaal Ke Bich for youth and Student by Arif Imam. Free Download Sab Lahu Jam Gaya Ubaal Ke Bich in PDF.