Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1ff332dae61afe4b84cbb8d00e10278c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Haalat-e-harf Kis Ne Jaani Hai - Arif Imam Poetry In English - Darsaal

Haalat-e-harf Kis Ne Jaani Hai

haalat-e-harf kis ne jaani hai

ye jahan KHugar-e-maani hai

kya lage qimat-e-qaba-e-suKHan

ye nai ho ke bhi purani hai

ek duniya thi, jis ke malbe se

ek duniya mujhe banani hai

rah mein hai badan ki ek diwar

jo mujhe naKHunon se Dhani hai

ye jahan raqs mein nahin yunhi

sab mere KHun ki rawani hai

aur kuchh din hai ye fareb-e-visal

aur kuchh din ye KHush-gumani hai

surKH ho ai meri qamiz-e-safed

apni qimat mujhe baDhani hai

han tabiat to Thik hai meri

ek zara ranj-e-raegani hai

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haalat-e-harf Kis Ne Jaani Hai In English By Famous Poet Arif Imam. Haalat-e-harf Kis Ne Jaani Hai is written by Arif Imam. Read famous Poem Haalat-e-harf Kis Ne Jaani Hai for youth and Student by Arif Imam. Free Download Haalat-e-harf Kis Ne Jaani Hai in PDF.