Fasil-e-zat Se Bahar Bhi Dekhna Hai Mujhe
fasil-e-zat se bahar bhi dekhna hai mujhe
shikast-e-KHwab ka manzar bhi dekhna hai mujhe
abhi to main ne faqat barishon ko jhela hai
ab is ke baad samundar bhi dekhna hai mujhe
bana raha hun abhi ghar ko aaina-KHana
phir apne hath mein patthar bhi dekhna hai mujhe
sipah-e-kar-e-jahan se nimaT chuka hun magar
tumhaari yaad ka lashkar bhi dekhna hai mujhe
abhi to gham ko suKHan karna sahal hai 'arif'
maqam-e-ijz-e-suKHnawar bhi dekhna hai mujhe
(952) Peoples Rate This