Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7938b55db07ccce26221d9d34ecb6fe9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Ba-faiz-e-tafakkur Hua Hai Ye Idrak - Arif Farhad Poetry In English - Darsaal

Mujhe Ba-faiz-e-tafakkur Hua Hai Ye Idrak

mujhe ba-faiz-e-tafakkur hua hai ye idrak

chamak uThunga kisi roz main sar-e-aflak

kis auj-mauj mein mujh par khula hai ye ahwal

zamin se ta-ba-falak uD rahi hai meri KHak

ajab nahin ki naya aaftab ubharne tak

KHala ke hath pe gardan rahe zamin ka chaak

yaqin bhi tha use hijr ka magar phir bhi

saba ke pahlu se lipTi bahut chaman ki KHak

ye KHak hi meri zanjir ban gai warna

meri nigah mein jachti nahin koi poshak

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Ba-faiz-e-tafakkur Hua Hai Ye Idrak In English By Famous Poet Arif Farhad. Mujhe Ba-faiz-e-tafakkur Hua Hai Ye Idrak is written by Arif Farhad. Read famous Poem Mujhe Ba-faiz-e-tafakkur Hua Hai Ye Idrak for youth and Student by Arif Farhad. Free Download Mujhe Ba-faiz-e-tafakkur Hua Hai Ye Idrak in PDF.