Rahti Hai Saba Jaise KHushbu Ke Taaqub Mein

rahti hai saba jaise KHushbu ke taaqub mein

kuchh yun hi zamana hai urdu ke taaqub mein

lauTe nahin ab tak wo barson hue nikle the

pazeb ki chahat mein ghungru ke taaqub mein

ek jadu ki Dibiya hai jo un ka khilauna hai

bachche nahin rahte ab jugnu ke taaqub mein

masum si aankhon se ek bund hi Tapki thi

baadal umaD aae hain aansu ke taaqub mein

naqqalon ke pichhe kyun phirte ho hunar walo

dekha hai kya sagar ko sarju ke taaqub mein

afkar ke phulon ki wadi hai hadaf 'arif'

har shair-e-urdu hai KHushbu ke taaqub mein

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahti Hai Saba Jaise KHushbu Ke Taaqub Mein In English By Famous Poet Arif Ansari. Rahti Hai Saba Jaise KHushbu Ke Taaqub Mein is written by Arif Ansari. Read famous Poem Rahti Hai Saba Jaise KHushbu Ke Taaqub Mein for youth and Student by Arif Ansari. Free Download Rahti Hai Saba Jaise KHushbu Ke Taaqub Mein in PDF.