Dil Kya Kisi Ki Baat Se Andar Se KaT Gaya
dil kya kisi ki baat se andar se kaT gaya
titli ka rabta kyun gul-e-tar se kaT gaya
do-chaar gam ka hi safar rah gaya tha bas
is waqt mera qafila rahbar se kaT gaya
mausam ke sard-o-garm ka jal par asar na tha
wo sang-dil bhi sher-e-suKHnawar se kaT gaya
saf mein muKHalifon ki main samjha tha ghair hain
dekha jo apne logon ko andar se kaT gaya
KHairaat KHub karta hai jab log sath hon
tanha hai wo abhi to gadagar se kaT gaya
jab tak uruj tha to zamane mein dhum thi
jun hi zawal aaya wo manzar se kaT gaya
(713) Peoples Rate This