Baghban Ki Be-ruKHi Se Nile-pile Ho Gae
baghban ki be-ruKHi se nile-pile ho gae
KHar ki manind ab gul bhi nukile ho gae
bahte dariya se sabhi sairab hain lekin mujhe
sirf ek qatra mila bas honT gile ho gae
mai-kashon ne bas qadam rakkha tha sehn-e-bagh mein
phul-patte bel-buTe sab nashile ho gae
ek hi aadam se hain lekin siyasat ke nisar
kis qadar firqe bane kitne qabile ho gae
mere bachpan ka zamana phul ka ambar tha
jaise hi bachpan gaya ambar Tile ho gae
ek nazar tanqid ki paDne ki 'arif' der thi
sher jitne the ghazal mein sab rasile ho gae
(731) Peoples Rate This