Alfaz Ke Patthar Kya Phenke Gae Pani Mein
alfaz ke patthar kya phenke gae pani mein
tufan sa barpa hai dariya-e-maani mein
KHushiyon ke fasane hi dohrae nahin jate
hain ranj ke chhinTe bhi ghar ghar ki kahani mein
jadu hi ghazab ka tha aks-e-ruKH-e-zeba ka
kyun aag na lag jati bahte hue pani mein
donon hi qabilon ne paiman-e-wafa bandhe
lauT aai wafa phir se har dushman-e-jaani mein
tarsil tamaddun ki hoti bhi to phir kaise
aKHlaq na hota gar tahzib ke bani mein
misre pe tere 'arif' misra jo hua chaspan
KHushbu si utar aai har ula-o-sani mein
(819) Peoples Rate This