Wo Karwan-e-bahaaran Ki Be-dara Hoga
wo karwan-e-bahaaran ki be-dara hoga
sukut-e-ghunche ki manzil pe ruk gaya hoga
baja ki dil nahin zindan-e-be-KHudi ka asir
magar ye qaid-e-ana se kahan raha hoga
shua-e-mahr ki nazzargi ke shauq mein chand
falak ke dida-e-be-KHwab mein Dhala hoga
kuchh aisi sahl nahin fan ki munfarid taKHliq
KHuda bhi meri tarah pahron sochta hoga
main tere zehan mein rach bas gaya hun misl-e-KHayal
jidhar bhi jaega tu mera samna hoga
baha ke le bhi gaya meri har mata-e-sukun
jo ashk abhi tere ruKH par nahin baha hoga
ye aarzu hai ki wo din na dekhna ho nasib
mere amal se mera fikr jab KHafa hoga
khila raha hai jo harf-o-nawa ke lala-o-gul
wo mera nutq nahin mauja-e-saba hoga
(996) Peoples Rate This