Tere Bazuon Ka Sahaara To Le Lun Magar In Mein Bhi Rach Gai Hai Thakan
tere bazuon ka sahaara to le lun magar in mein bhi rach gai hai thakan
main sahra se bach kar chaman mein to aaun pa sahra se kuchh kam nahin ye chaman
meri zist ki rah tarik thi chand ban kar tum aae to raushan hui
ye rah aaj phir tira-o-tar hai ghaaliban chand ko lag gaya hai gahan
har ek samt nagin ki surat lapakti hui tirgi se hirasan na ho
ajab kya ki lau de uThe mere lams-e-farozan se tera sulagta badan
ye ashkon se bhigi hui muskurahaT murawwat ka eajaz hai warna hum
ghamon ki hawaon mein uDta hua dekh kar aa rahe hain koi pairahan
firaq-e-lab-o-zulf par munhasir kam hi pai hai ahl-e-wafa ki taDap
tum aaghosh ke tang halqe mein ho phir bhi har lamha afzun hai dil ki jalan
mere pyar ko ek nae moD par dekh kar yun meri jaan tajjub na kar
badalte rahe hain badalte rahenge zamane ke hamrah dil ke chalan
(980) Peoples Rate This