Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bc8e488f7569c2a77ac7bf3efb9330cf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kitni Hasrat Se Teri Aankh Ka Baadal Barsa - Arif Abdul Mateen Poetry In English - Darsaal

Kitni Hasrat Se Teri Aankh Ka Baadal Barsa

kitni hasrat se teri aankh ka baadal barsa

ye alag baat mera shola-e-gham bujh na saka

tera paikar hai wo aaina ki jis ke dam se

main ne sau rup mein KHud apna sarapa dekha

ek lamhe ke liye chand ki KHwahish ki thi

umr bhar sar pe mere qahr ka suraj chamka

jab bhi ehsas-e-aman bais-e-taskin Thahra

an-ginat KHatron ki aahaT se dil apna dhaDka

main aziyyat ki guphaon mein karahun kab tak

be-gunahi ki saza ke liye miad hai kya

tira-o-tar KHalaon mein bhaTakta raha zehan

raat sahra-e-ana se main hirasan guzra

sehr-e-goyai ke kis dasht ka faizan hai ye

har suKHan lab se tere surat-e-ahu nikla

main ne jis shaKH ko phulon se sajaya 'arif'

mere sine mein usi shaKH ka kanTa utra

(1168) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitni Hasrat Se Teri Aankh Ka Baadal Barsa In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Kitni Hasrat Se Teri Aankh Ka Baadal Barsa is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Kitni Hasrat Se Teri Aankh Ka Baadal Barsa for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Kitni Hasrat Se Teri Aankh Ka Baadal Barsa in PDF.