Jo Ubhre Waqt Ke Sanche Mein Dhal Ke
jo ubhre waqt ke sanche mein Dhal ke
wo Dube ek aalam ko badal ke
gham-e-manzil tujhe shayad KHabar ho
yahan pahunche hain kitne kos chal ke
ab un ke pas aansu hain na aahen
jo gham ki aag se nikle hain jal ke
zamin ki ek hi jumbish bahut hai
zamin se aa malenge ye mahal ke
hamin ne raston ki KHak chhani
hamin aae hain tere pas chal ke
in aankhon ne ye an-honi bhi dekhi
nasim-e-subh guzri gul masal ke
zamana kyun tujhi par mar raha hai
bahane jab ki lakhon hain ajal ke
teri guftar par aalim fida hai
teri baaton mein tewar hain ghazal ke
sahar hone ko hai 'arif' KHudara
ghaDi bhar so raho pahlu badal ke
(916) Peoples Rate This