DhunDhta Hun Sar-e-sahra-e-tamanna KHud Ko
DhunDhta hun sar-e-sahra-e-tamanna KHud ko
main ki samjha tha kabhi ruh-e-tamasha KHud ko
apne bachchon ki taraf ghaur se jab bhi dekha
kitne hi rangon mein bikhra hua paya KHud ko
aur kuchh log mere sae tale susta len
girti diwar hun deta hun sahaara KHud ko
nur tu mujh se farawan hua mahfil mahfil
gham nahin sham-e-sifat main ne jalaya KHud ko
reg-e-ummid ke shadab sarabon ke tufail
main ne dekha hai kabhi surat-e-sahra KHud ko
meri azmat ka nishan meri tabahi ki dalil
main ne haalat ke sanche mein na Dhaala KHud ko
meri taKHliq mere kaam na aai 'arif'
main ba-andaz-e-KHuda pata hun tanha KHud ko
(946) Peoples Rate This