Chand Mere Ghar Mein Utra Tha Kahin Duba Na Tha
chand mere ghar mein utra tha kahin Duba na tha
ai mere suraj abhi aana tera achchha na tha
main ne sun li thi tere qadmon ki aahaT dur se
tu na aaega kabhi dil mein mere dhaDka na tha
main ne dekha tha sar-e-aina ek paikar ka aks
hu-ba-hu ham-shakal tha mera magar mujh sa na tha
kyun jhulas Dala hai us ne mere KHadd-o-KHal ko
waqt ek dariya tha lekin aag ka dariya na tha
band pani ke bhanwar mein kho gai kashti meri
aankh jal-thal thi magar aansu koi Tapka na tha
main na daman-e-charagh-e-be-nawa ban kar jala
thi talab jhonke ki mujh ko aur tu jhonka na tha
ghum kar dekha to tha jis rah par tanha rawan
bhiD itni thi ki chalne ko wahan rasta na tha
main ki wusat ki tamanna mein bagula ban gaya
ret ke zarre the daman mein mere sahra na tha
kahish-e-soz-o-ziyan ne rakh kar Dala mujhe
main ne samjha tha ki ye shoala yahan jalta na tha
mere sahra ki tapish ko dekh kar hairan na tha
abr ghir kar barha aaya magar barsa na tha
apne bachchon ka tabassum dekh kar 'arif' bata
ghar ki virani ka tujh ko shikwa-e-beja na tha
(987) Peoples Rate This