Baja Ki Kashti Hai Para Para ThapeDe Tufan Ke Kha Raha Hun
baja ki kashti hai para para thapeDe tufan ke kha raha hun
magar ye eazaz kam nahin hai ki aap hi apna naKHuda hun
kabhi to main ne dhunak diye hain pahaD bhi apne raste ke
kabhi main KHud apne raste ki muhib diwaren ho gaya hun
mujhe hai shab-KHun ki fikr lekin unhen halakat ka Dar nahin hai
mere qabile ke log sote hain aur shab-bhar main jagta hun
meri haqiqat tazad ki is girah ke khulne pe munhasir hai
main waqt ka hun jalil KHusraw main ahd ka be-nawa gada hun
ye baat alag hai ki ghuncha ghuncha mere chalan se chaTak raha hai
saba ka jhonka hun gulistan se main be-sada sa guzar raha hun
jahan ka shewa sitam tha lekin mujhe wafa se rahi hai nisbat
jahan ghalat tha ki main ghalat tha ye baat rah rah ke sochta hun
meri jabin ka chamakta suraj mere jilau mein sada raha hai
main raat ki zulmaton ko 'arif' azal se lalkarta raha hun
(929) Peoples Rate This