Aarif Azal Se Tera Amal Mominana Tha
'arif' azal se tera amal mominana tha
han gham ye tha ki fikr ka Dhab kafirana tha
tu mujh se dur rah ke bhi mere qarib tha
har chand tu KHuda ki tarah tha KHuda na tha
tanhai-e-basit ka wo ahd yaad kar
jab tere pas koi bhi tere siwa na tha
tha e'timad-e-husn se tu is qadar tahi
aaina dekhne ka tujhe hausla na tha
main ne kiya hai tujh ko tere ru-ba-ru magar
khinch jaega mujhi se tu mujh ko pata na tha
baKHsha hai tu ne meri wafa ko KHud apna rang
warna meri nigah mein koi sila na tha
umr-e-aziz ra-nawardi mein kaT gai
manzil ne di KHabar ki musafir chala na tha
aai hai gulsitan se meri samt kis liye
jab nama mere nam koi ai saba na tha
kunj-e-qafas mein sar-ba-gareban paDa hun main
'arif' chaman mein koi mera ham-nawa na tha
(928) Peoples Rate This