Aaj Ki TariKH Mein Insan Mukammal Kaun Hai

aaj ki tariKH mein insan mukammal kaun hai

ye pata kaise chale ki kis ka maqtal kaun hai

pas hi rahta wo har dam sehr ho ya ho nasha

KHushbu jaisa hai hawaon mein musalsal kaun hai

sadgi ki apsara wo ya hai koi sahiri

hai ghazal ya hai wo sandal shoKH chanchal kaun hai

us chhalakte se samundar mein nasha hai aaj tak

jhum kar barsa hai pagal uf ye baadal kaun hai

bhai bhai laD rahe hain is siyasi khel mein

saf likkha hai ye quran mein ki afzal kaun hai

be-KHabar hain panchhi nadiyan sarhadon ki rok se

be-sabab hi mulk mein karta ye danggal kaun hai

jugnuon ko jalte dekha to samajh aaya mujhe

kaisa sannaTa hai jangal karta mangal kaun hai

(1082) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ki TariKH Mein Insan Mukammal Kaun Hai In English By Famous Poet Aradhana Prasad. Aaj Ki TariKH Mein Insan Mukammal Kaun Hai is written by Aradhana Prasad. Read famous Poem Aaj Ki TariKH Mein Insan Mukammal Kaun Hai for youth and Student by Aradhana Prasad. Free Download Aaj Ki TariKH Mein Insan Mukammal Kaun Hai in PDF.